Jaaniye Kya Hai Wo 5 Baate Jo Aapko Apni Life Mai Nahi Karni Chahiye
5 Baate Jo Aapko Apni Life Mai Nahi Karni Chahiye |
Jeene ke liye kai aise niyam hai jo likhe nahin gaye hai. Paramparagat taur par chale aaye hai. Jo sahi vahi kare. Yeh apne aap ko bhi laagoo hota hai aur apne doosre ke saath vyavahar mein bhi. Is ke saath yeh bhi dhyan rakhna hai ki jo sahi nahi voh kabhi na kare. Aaj aap jaaniye paanch aise cheez ya kaam ya vyavahar jo aap apne life mein se hamesha ke liye door hi rakhe. In paanch cheezo ko apne life se door rakhne mein aap ko fayda hai aur aap ke relationship aur image ke liye bhi achcha hai.
1. Doosron ke saath compare karna aur irshya karna
Yeh svabhavik hai ki koi hamse aage nikal jaaye jindagi ke raah par to khushi hone ke badle hame dukh hota hai. Khaas kar ke voh nazdik ka friend ya apne family mein hi koi agar tarakki kare to jalan mehsoos hota hai aur hum apne aap ko us ke saath tulna karne lagte hai. Us vyakti ki bahari haalaat dekh kar hame koi nateeje par nahin pahunchna chahiye. Agar voh vakai pragati karta hai aur khush hai, to hame bhi khush hona chahiye. Us ke bahari haalat aur hamare andarwali baat ko ek hi taraju mein tulna nahin karna chahiye.
2. Doosron ki burai karna aur sunne mein anandit hona
Doosron ki burai karna yeh mamuli si baat ho gayi hai magar achche sanskar vale yeh jante hai ki kabhi bhi kisi ke baare mein bura bolna nahi chahiye aur sunna bhi nahin chahiye. Agar sunne mein bhi aaye to us baat mein hame anandit nahin hona chahiye. Koi agar aisi baat ki shuruat kare to us mein dilchaspi na bataye balki us ke baat ko sunne se hi inkar kare ya baat hi badal de. Aisa vyakti agar aapa ko kisi ke baare mein bura kehta hai to sambhav hai ki kisi aur ko aap ke baare mein bura jaroor kahega.
3. Jo beet gaya hai use jaane de
Kisi baat ko pakad ke rakhne mein fayda nahin hai. Pakad rakhne mein aur koi nahin, hum khud hi sabse jyaada pareshan honge. Kisine aisa kuch kaha hai jis se hame bura lag gaya hai to us baat ko uda de aur nazar andaaz kar de. Get on with your life. Kisi aur ke saamne bhi apne dukh, gam ya tauheen hua hai to us ka zikar na kare. Kisi ko aisi baato mein koi dilchaspi nahin hai. Hai to bhi aap maan lijiye ki voh us baat mein khushi mehsoos karega.
4. Kisi par kisi baat ka aadhar na banaye ya vishwas na rakhe
Apne personal ya khud karne vaale kaam khatam karne ke liye khud hi mehnat karna chahiye. Aisa kabhi na soche ki aur koi aayega aur yeh kaam karne mein sahay dega. Apni baat aur apni kaamkhud par hi nirbhar rehkar aage badhaye. Agar aap ke ghar ke koi sadasya hai ya friend hai jis ne promise kiya hai help karne ko aur karta hai to theek hai magar us par mazar na banaye. Apna kaam khud hi niptaane mein aap ka atmavishwas bhi dradh hoga.
5. Negative na soche
Log dar, sharmindgi vagairah ko jyaada vajan dete hai kisi kaam karne mein ya aage badhne mein. Yeh negative soch hai. Log kya kahenge aur sochenge us ki parvah karoge to jahan ho vahin rahoge.
No comments