7 Habits जो बना सकती हैं आपको Super Successful
Super Successful |
Zindagi mein success sirf education ya talent se ya genetics ya inheritance se nahin aati hai. Success ke peeche raaz hai. Jo successful hai unhe gaur se dekhiye to aap jaanenge ki unke kai khaas characteristics hai aur unke routine aur habits aise hai ko voh unhe life mein madadroop bante hai aur unhe success ke marg par aage badhte hai. Kai aise successful businesmen ne kitabe bhi likhi hai jaise ki Dale Carnegie, Deepak Chopra, Napoleon Hill aur Stephen Covey jisne ek kitab likhi hai jo bahut lokpriya hogaya hai. 7 Habits of Highly Effective People personality development ke liye uchit margdarshan deta hai. Kitabe padhne se kuch nahin hota hai. In mein bataye gaye margdarshan ko apna liya jaaye tabhi success milta hai aur voh bhi raato raat nahin. Phir bhi, agar aap yeh 7 habits yaane ki aadat daalenge to jeevan mein bahut kuch badlav aayega. Har ek successful insaan ka tarika alag hota hai. Yahan par jaaniye Stephen Covey ke bataye gaye 7 habit jo bana sakti hai aapko super successful.
Proactive hona chahiye
Kisi bhi paristhiti mein agar aap proactive banne ka tarika apnayenge to aap ke fayde mein hi hai. Anya vyaktiyo ke saath aap kaise interact karte hai us par adharit hai ki aap ka image kaisa banta hai. Agar aap unki baato mein aur unke problem mein ruchi lekar sahayak banenge to jab aapko jaroorat hogi tab yehi vyakti aap ke kaam aayenge. Doosri baat yeh hai ki kisi ko apne karmo ke liye doshi na thehraye. Jimmedari le apne actions ka aur kabool kare ki agar aap jis paristhiti mein hai voh aap hi ke kaaran hai. Namumkin shabd ko importance na de aur hamesha soche ki raaste kaise nikale jaaye koi bhi samaya ka hal paane ke liye. Jo aap ke kaabu mein nahin hai aisi baat aur kaamo mein jyaada ruchi na le aur vohi baat par dhyan de jis par aap niyantran rakh sakte hai aur safalta paa sakte hai. Ek baat mein safalta milne par aap ko aur bhi protsahan milega aage badhne ke liye. Yeh aadat bana le aur hamesha proactive rahe.
Lakshya ko dhyan mein rakhe
Safalta ke liye lakshya hona chahiye aur lakshya tak pahunchne ke liye aap kaunsa maarg apnate hai us par bhi vichar karna chahiye. Jo hoga dekha jaayega vaali baat hi nahi chalegi. Lakshya pehle se nakki kar le aur phir us tak pahunchne ke prayas kare. Apne khayalo mein pehle us lakshya ka nirman kare aur soche ki agar vaha par pahunch gaye hai to aap ko kitni trupti hogi. Phir ek plan banaye. Behtar hai ki is plan ko aap kagaz par likhe aur us ko poorna karne ke liye timeline banaye. Kaam khatam karne ke liye shuru bhi to karna hai isiliye ek taarikh tay kare shuruat ke liye aur lakshya paane ke liye. Aap kya banna chahte hai is saval apne khayalo mein hamesha aage rakhe aur dhyan mein rakhe.
Prioritize – Prathmikta
Aap jeevan mein bahut kaam karte rehte hai, kai productive hote hai aur kai non-productive magar jaroori hai. Har ek kaam ko prathmikta de. Is ke liye ek list banaye aur jo bahut hi jaroori hai use prathmikta de. Aise kaam pehle kare taaki aap ka dimag us per kendrit rahe aur aap thak na jaaye. Baad mein aap bin jaroori ya kam mahatvapurna kaam haath mein le.
Win-Win
Win-Win management ke professional ka favorite shabd hai. Is ka matlab hai ki zindagi mein aap doosre ke saath interact karte hair aur un ke madad se aage badhte hai magar is tarah ki dono ka fayda ho. Kai logo ko aadat hai ki doosre logo ka samay aur kabiliyat ka upyog karna apne fayde ke liye bhale doosre aadmi ki nuksan hota hai. Yeh sambandh badhane ke liye theek nahin hai. Aisa sochne ke badle agar aap win-win ka soche to sauda mein dono party ko fayda hoga aur khushi bhi hogi. Magar yeh bhi dhyan mein rakhe ki aap apne naitikta par samjhauta na kare. Baat aise paripakvata ke saath aur samtulan ke saat set kare ki aap ka fayda to ho hi aur samne vaale ko bhi itna hi laabh ho. Jabh bhi koi business mein kisi aur ko approach karta hai to apna kaam nikalvane ke liye aur yeh bhi sochta hai ki use sabse jyaada fayda ho aur sabse kam kharcha ho. Yeh bhi sochte hai kai log ki vohi aage aye aur doosre log pragati na kare. Yeh negative approach hai. Samtulit tarike se deal karne mein aur win-win approach mein hi lambe samay mein aap ko fayda hoga.
Pehle samjhe aur phir ummeed rakhe ki doosre aap ko samjhe
Interpersonal communication bahut hi mahatvapurna baat hai. Is mein aap ko yeh dhyan mein rakhna hoga ki kya aap doosra vyakti jo kehta hai use poori tarah samajh paate hai. Kai logo ko aadat hoti hai ki bas hole jaate hai aur apne gyan ya achievements ka pradarshan karte hai. Samne vaale ki koi baat sunte hi nahin hai. Ya to thodasa sunne ke baad voh mulyankan karte hai, jaanch karte hai, salah-mashvara karte hai ya vyakhya karte hai aur voh bhi galat. Koi bhi insaan kuch bhi kehta hai to kaan aur dimag se unki baato ko suniye bade dhyan se aur samjhe ki darasal voh kya kehna chahta hai. Yeh samajhne ke baad jab aap javab denge to doosra vyakti aap ko bhi samajh lega aur voh bhi aasaani se.
Tal Mel Bithana
Office mein agar aap kaam karte hai to doosre staff ke saath aap ka taal mel kaisa hai? Agar aap boss hai to taal mel kaisa hai? Aap ke boss ke saath aap ka taal mel kaisa hai? Is baat ko gaur se parikshan kare aur yeh dhoodnhe ki kya aap mein hi kami hai agar taal mel nahin hai. Is ko kaise sudhara jaay yeh bhi aap ke hi haato mein hai. Agar koi lakshya haasil karna hai to ek se bhale do isiliye logo ke saath taal mel banaye rakhe aur mathbhed to ek baaju mein rakh le.
Apne aap ko tej kare
Aap ke safalta ke liye aap hi jimmedar hai. Apne aap ko ek machine ya engine samajhiye. Apne engine ko top condition mein kaise rakhe yeh bhi apne aap par nirbhar hai. Isiliye sharirik swasthya par poora dhyaan de. Samtulit aahar ka sevan kare aur niyamat vyayam kare. Is ke saath pranayam aur yog ka bhi practice kare. Jab aap ka physical aur mental side santulit hoga to aap aur bhi powerful ho jaayenge apne lakshya haasil karne main.
Iske alava kai aur baat hai. Apne aap par bharosa rakhe aur atma vishwas badhaye ki aap koi bhi kathin kaam kar paayenge. Agar nakamyabi mili to us se nirash na ho magar aur prayatna jaari rakhe. Duniya mein aap akele nahin hai. Agar koi samasya hai ya prashna hai to doosre ka advice ya sahay lene mein peeche na hathe. Kamyabi aap ko jaroor hasil hoga.
No comments