Job Interview mai safal hone ke 10 Tips
Job Interview mai safal hone ke 10 Tips |
Aapne padhai khatam kar li hai aur ab aap job ke liye taiyar hai. Kya aap sachmuch taiyar hai? Job milne ke pehle aap ko arji karna hai aur interview mein jaane hoge aur agar yaha par aap kamyab hai tabhi aap ko job milega. Aaj ke zamane mein ek job ke liye ek hazar arajdaar hote hai to aap kaise prayas karenge ki aap ko hu chuna jaaye?
Interview isiliye hote hai ki company sab se uchit candidate ko chune aur company ko fayda ho. Is baat ko aap ko hamesha dhyaan mein rakhna chahiye. Jab aap interview ke liye jaaye to aap ko vahan par jo interview leta hai us ko convince karna hoga ki aap hi sab se uchut arajdar hai. Yeh to tab hoga jab aap ko interview ke liye bulaya jaaye. Interview mein aap ka number lage is ke liye aap ko sahi application karna hoga jis mein aap apna resume ya CV banayenge aur us ke saath cover letter hoga.
Resume sahi banaye
Resume yaane CV sahi hona chahiye. Yeh glati na kare ki ek standard resume bana ke sabhi ko vohi bhejte rahe. Company ke baare mein jaane aur uske anuroop CV banaye. Resume savdhani se banaye aur aise format kare ki padhne mein aasani ho aur aap ke mukhya achievements us mein turant dikh aaye. CV ke saath ek cover letter bhi jaroori hai aur yeh bhi har ek company ke liye personalize kar ke CV ke saath jode. Is ke aadhar par hi aap ko interview mein bulaya jaayega isliye jitna ho sake itna professional look de. Yeh dhyan mein rakhe ki language sahi ho aur grammatical mistake na ho. Kisi aur se apna CV check karva le to aap jo ko kami nahi dikhai diya hai voh unhe dikh jaayega aur sudhar hoga. Ab aap ke interview ke chance badh jaayenge to interview ke liye taiyari kare.
Naukri sambandhit jaankari
Aap jis position ke liye arji kar rahe hai us ke baare mein aap ko poora knowledge hona chahiye. Interview mein aap se job sambandhit prashna kiye jaayenge isliye poori taiyari kar le. Aap kaise jawab dete hai us par bahut kuch nirbhar karta hai.
Apna dress aur huliya sudhare
Interview mein jaane ke liye dress sahi hona chahiye yaane ki formal. Shirt, trousers, shoes matching pehne aur kabhi bhi casual jeans ya t shirt mein interview ke liye na jaaye. Apne baalo par dhyan de aur agar jyaada lambe hai to hair cut karva le. Interview ke din achchi tarah se shave kare aur “presentable” ban jaaye.
Apne aap ko Employer ki drashtikon se dekhe
Apne aap ko employer ki jagah rakhe aur sochiye ki kin savalo se aap yeh jaanenge ki candidate uchit hai ya nahin. Job ke liye aap uchit hai ya nahin yeh kaise jaanenge yeh sochiye. Employer yeh dekhta hai ki aap kitne haazir jawabi hai, aap ka confidence level kya hai, aap apne experience ko kaise pesh karte hai aur aap team mein achchi tarah ghul mil jaayenge ya nahin.
Prashno ka jawab
Interview mein common questions hote hai aur aap ko in savalo ke liye jawab taiyar karna hai. Interviewer aap se poochega:
- Aap apne present job ke baare mein bataye.
- Apne baare mein kuch bataye.
- Aap ne aisa kya kiya hai jis se aap ko garv hai?
- Aap ko yeh company aur yeh job chunne ka karan?
- Apna haal ka job aap kyon leave karna chahte hai?
- Apke kamjori kya hai aur strengthkya hai?
- Aap ne yeh career path kyon chuna?
Aise kai aur saval aap se pooche jaayenge. In savalo ka sahi uttar taiyar kare. Jaise ki agar aap ko pooche ki aap apna haal ka job kyon chod dena chahte hai to company ki ya boss ki burai na kare magar aisa kahe ki aap aur challenging job dhoondh rahe hai jahan aap ke skills ka pur upyog hoga.
Dimag mein interview ka scene ka kalpana kare
Dimain mein poora kalpana kar le ki interview mein kya ho sakta hai aur aap kaise pesh aayenge. Jab se aap interview room mein dakhil hote hai aur interviewers ko greet karte hai tab se leke interview khatam hote hi aap kaise interview se vidai lenge, in sabhi baato ko dhyan mein rakhe. Yeh bhi soch le ki interview ke din aap ko kitne baje taiyar hona hai aur kitne baje hazir rehna hai.
Mirror ke samne practice
Mirror ke samne baith ke aap yeh sochiye ki samne interviewer baitha hai. Ab aap saval taiyar kariye aur apne aap se poochiye aur jaba ap jawab dete hai to mirror mein nirakshan karte rahiye to aap ko pata lag jaayega ki aap kaise lag rahe hai. Agar koi friend hai to use interviewer bana le aur uski raai jaane.
Body language
Interview ke dauran interviewer aap ko dekhega aur aap ka body language bhi nirakshan karta rahega. Isiliye interview room mein dakhil hote hi sahi dhang se pesh aaye aur apna nervousness zahir na hone de. Khursi mein upright baithe aur haath pair hilate na rahiye. Yeh impression jaamaye ki aap job mein bahut hi dilchaspi rakhte hai. Body language se yeh pragat kare ki aap ka confidence level kitna hai. Relaxed tarike se jawab dene mein interviewer jaan lega ki aap self-confident hai. Dull awaz mein jawab na de balki aawaaz mein enthusiasm rakhe.
Company ke baare mein jaaniye
Jis company mein aap interview dene jaa rahe hai us company ke baare mein puri jaankari haasil kare to interview dene mein aap ko aasaani rahegi.
Jawab sach dena
Interviewer aap ko kai saval karega. Har ek saval ka sahi jawab de aur sahi jawab nahin malum hai to yeh keh de ki aap ko maalum nahin hai, magar kabhi bhi galat jawab ya contradictory jawab na de. Aisa karne mein aap ka impression down hoga.
Language of interview
Kai company mein interview ki bhasha angrezi hi hoti hai. Agar aap is mein nipun nahin hai to pehle se hi interviewer ko bata de aur voh aap ko Hindi mein ya local language mei hi baatchit karega. Agar aap ko bhasha par kabu nahin hai to aap sahi tarah se jawab nahin de payenge aur impression down hoga.
Is ke alava interview mein aap ko chance diya jaayega saval karne ka to sahi saval pooche jaise ki company kyon candidate pasand kar rahi hai, team mein aap ka kya role hoga, aap ko training milega aur aap aage badh sakenge aur yeh bhi poochiye interviewer se ki unki rai kya hai company ke baare mein. Kabhi bhi promotion ka ya salary ka pehle se na pooche.
No comments