Latest post

Facebook Account id Kaise Banaye : फ़ेसबुक अकाउंट कैसे बनाए

Facebook Account id Kaise Banaye : फ़ेसबुक अकाउंट कैसे बनाए
Facebook Account id Kaise Banaye
Youngsters ki baat kare to shayad hi aisa koi hoga jis ka facebook mein account na hai. Older generation mein facebook ki itni chah nahin hai. Facebook ka alag alag tarike se upyog ho sakta hai. Ek to hai purely social purpose ki aap friends ke saath connected rahe aur share karte rahe aur apne circles bhi badhate rahe. Doosra tarika hai ki jo company apnati hai facebook dwara apne customers ke saath interact karne ke liye. Facebook ek interaction aur communication tool bhi hai aur doosri taraf yeh aap ka business bhi badha sakti hai. Even senior staff members facebook par account banate hai taaki company ke kaam ko aage badhane ke liye customers un ke saath interact kar sake. To aap ka agar facebook mein account nahin hai aur aap yeh chahte hai ki facebook mein account kaise banaye is ki jaankari mile to yahan par prastut hai. 
Facebook ek social media site hai aur facebook mein account banana bilkul aasaan hai. Bas, sirf 10 minute ka samay de aur aap ka facebook account live ho jaayega. Ek baar facebook mein account kaise banate hai yeh aap ne jaan liya aur account chalu ho gaya to shayad aap ko bhi facebook ka chaska lag jaayega. 

Facebook account kaise khole

Pehle to aap ke paas email id hona chahiye. Agar yeh nahin hai to aap pehle email id kaise banate hai voh jaan le aur email id banaye.  Agar email ID nahin hai to bhi account ban sakta hai facebook par magar aap ko email ke jagah par mobile number use karna hoga. 
Facebook mein account banane ke liye aap ko chahiye computer (smartphone bhi chalega), internet connection aur thodasa samay. 

Step 1 : Facebook Account id Kaise Banaye

  • Browser chalu kare.
  • Address bar mein Facebook.com type kare aur enter dabaye.
  • Facebook.com site khulega.

Step 2 : Facebook Account id Kaise Banaye

  • Right hand side mein aap ko dikhai dega “create an account”
  • Khaali jagah mein naam likhe
  • Us ke neeche mobile number ya email address likhe. 
  • Us ke neeche phir se vahi details enter kare
  • Ek password chune aur likhe aur us ke apne diary mein bhi note kare. Yaad rahe ki capital ka upyog kiya hai to hamesha voh character capital mein hi hona chahiye. Password case-sensitive hai. 
  • Apna birthday enter kare
  • Finally aap female hai ya male yeh select kare
  • Ab us ke neeche “create an account” button click kare

Step 3 : Facebook Account id Kaise Banaye

  • Facebook aap ko email par ek verification link bhejega. Is ko click karne se aap ka account verify ho jaayega. 
  • Ab aap facebook use kar sakte hai. 
  • Log in karne ke liye facebook.com khole. Upar right hand side par khaali jagah hai email or phone, aur password. Yeh details enter kare aur log in par click kare. 
  • Jab aap log in karenge to aur bhi vidhi hai jaise ki aap ko pehle to aap ka profile banana hai facebook par aur ek profile picture bhi upload karna hai. Screen par bataye gaye instructions follow kare to sab kuch ho jaayega. 
Khushi ki baat yeh hai ki ab facebook hindi, gujarati aur anya Indian languages mein bhi uplabdh hai. To aapne yahan par padha hai facebook account kaise banaye in hindi. Upar bataye gaye steps follow kare aur ho jao shuru.
TAGS : #facebook account kaise banaye #facebook id kaise banaye #facebook par id kaise banaye #facebook ki id kaise banaye #facebook page kaise banaye #facebook pe id kaise banaye #facebook banane ka tarika #email id kaise banaye #facebook id banana #facebook kaise banaye hindi me

No comments