Latest post

Free Blog Website Kaise Banaye : ब्लॉग कैसे बनाए

Free Blog Website Kaise Banaye : ब्लॉग कैसे बनाए
Free Blog Website Kaise Banaye 
Free blog website kaise banaye??? Blogging aaj kal bahut popular hai. Blogging se aap apna knowledge doosro ke saath share kar sakte hai. Agar aap chahe to aap apne blog se paise kama sakte hai. Dono kaam ho sakte hai magar aap ko pehle blog to banana hoga. Agar aap yeh nahin jaante hai ki blog kaise banaye to aage padhte rahiye. Kai aise free blogging site hai jahan par blog banana bilkul aasaan hai. Na to aap ko domain registration ke paise kharch karna hai na to aap ko hosting space ke liye paise kharch karna hai. Free blogging site par sab kuch set up hota hai aur template based hone ke kaaran aap ko sirf content hi andar daalna hai. To aage padhte rahiye aur jaaniye free blog website kaise banaye in blogging sites par. 

Jaroori cheez

Aap ke paas computer hona jaroori hai jis mein internet connection ho. 
Aap ka khud ka ek email account hona chahiye. Nahin hai to pehle gmail ya aise koi bhi free email site par register hoke apna email id banaye. 

Blogspot par register kare

Blogspot google ne banaya hai sirf blogging ke liye. Yeh free blog site hai jahan par koi bhi free mein register kar ke apna blog shuru kar sakta hai. Jaaniye blogspot.com par free website kaise banaye. 

Blog is tarah banaye

  • Blogspot.com website open kare
  • Yahan par aap apna gmail account use kar ke log in kare. 
  • Agar aap ka google+ par profile hai to us ka use kare ya to ek naya profile banaye jis me aap ke details likhe. 
  • Registration ke baad aap ke email mein verification mail aayega jis mein link hoga jis par click karne se aap ka account verify ho jaayega. 
  • Ab aap blogspot par log in kare. 
  • Blog ka ek unique naam de. Is mein aap jis vishay par blogging karna chahe us se sambandhit naam de jo aap ka domain name hoga blogspot.com par.
  • Ab aap free templates jo uplabdh hai us mein se kisi ek ko chune
  • “New Blog” par click kare. 
  • “Setting” drop down button par click kare aur niche posts ko select kar ke click kare.
  • Ab ek page khulega jis mein aap jis vishay par charcha karna chahte hai us pe note likhe. 
  • About us page hoga jis mein aap yeh blog kis vishay par hai us ke baare mein likhe aur aap ke baare mein likhe. 
  • Left hand side par jo menu hai us mein se aap template alag pasand kar sakte hai aur aap ke khud ka logo bhi upload kar sakte hai. 
Aap ne dekha hai ki aap apni website banaye hai sirf minutes mein. Kyonki yeh free blogging site hai isiliye kaam bilkul aasaan hai. Real website banana mushkil hai magar blogging ke liye free blog site ka upyog karna behtar hai. 
Ab aap chahe to aap ke blog site par google ka adsense program shamil kar sakte hai. Is se aap ko aap ke blog se paise kamane ka mauka milta hai. 
Theek isi tarah aap doosre free blogsite par apne free website bana sakte hai: 
  • WordPress.com
  • Livejournal.com
  • Tumblr.com
  • Blog.com
  • Weebly.com
  • Squarespace.com
  • Blogspot.in    
  • Blogger.com
Har ek blog site par aap ko aap me site ka naam dena hoga jo is tarah se dikhai dega: 
Example: yourname.wordpress.com
Yeh personal use ke liye uttam hai. Magar, aap agar business ke liye website banana chahe to phir domain name aur hosting alag se le.
TAGS : #blog kaise banaye #website kaise banaye #website kaise banate hai in hindi #apna blog kaise banaye #free mai website/blog kaise banaye

No comments