Latest post

फ्री वेबसाइट कैसे बनाए : Free Website(Blog) Kaise Banaye

फ्री वेबसाइट कैसे बनाए : Free Website(Blog) Kaise Banaye
फ्री वेबसाइट कैसे बनाए
Free Website(Blog) Kaise Banaye??? Agar aap apna website chahte hai to pehle aap ko domain name register karna padega aur is ke baad ek webhosting company mein aap hosting space le kar apna domain host kar sakte hai aur website bana ke upload kare to aap ka website online ho jaayega. Is mein paisa kharch  hota hai aur har saal aap ko renewal ke paise kharch karna hoga. Kya free mein website nahin ho sakta hai? Bilkul ho sakta hai. Kai aise hosting site hai jo free website hosting offer karte hai, jaise ki angelfire, geocities aur us ke jaise sainkdo. Magar aise free website mein har page par un ka banner ad hoga.  
To kya aur koi rasta nahin hai jo aap ke saval free website kaise banaye ka jawab de? Blogging ke liye kai aise sites hai jayan par aap apna khud ka free website bana sakte hai. Ek site hai www.blogger.com. Yeh site open kare aur phir aage ke steps follow kare. 

Register kare

User ki tarah register karne ke liye aap ko apna email ID aur password dalna hai. Isiliye aap ko pehle gmail main apna account bana lena hoga. 

Log in 

Register hone ke liye pehle aap ko details enter karna hoga aur aap ke gmail account mein agar verification mail aata hai to ise open kar ke link par click kare to aap ka account verify ho gaya. Ab aap vapas blogger.com par jaaye aur vahan par log in kare Yahan par new blog button par click kare. 

Website naam chune aur enter kare

Ab aap ke samne jo window khulta hai us mein aap ko apke naye blog ka naam dena hoga yaane ki aap ke website ka. Website title aur us ke neeche address khali jagah bhane ke baad create new blog par click kare. 

New Post add kare

  • Ab apke samne screen par ek page khulega jis mein left hadn side par links honge. New Post par click kare. 
  • Ek window open hoga jis mein aap apne favorite topic par jo likha chahe likh le. 
  • Ab is ke neeche Publish button par click kare.     
  • Theek isi tarah aap chahe itne naye post upload kar sakte hai. 

Aur tarike free mai website banane ke

Aap angelfire.com, geocities.com, godaddy.com, wordpress.com jaise site par bhi free website bana sakenge. Sabhi mein procedure ek jaisa hi hai. Pehle register kare, apna email khol ke account verify kare, freewebsite par log in kare aur aage ka process kare. In sabhi sites par ready made templates hote hai aur aap ko design karne ki jaroorat nahin hai. Text aur image dono aap upload kar sakenge. 
Agar aap apna personal website bana rahe hai to free website hi uchit hai. Agar aap business ke liye site banana chahte hai to free website image ke liye theek nahin hai. Business ke liye regular domain name register kare aur paid hosting service ka upyog kare. Is se aap ko search engine mein bhi fayda hoga.
TAGS : #Free Website Kaise Banaye #Web Kaise Banate He #Khud Ki Website Kaise Banaye #Online Website Kaise Banaye #फ्री वेबसाइट कैसे बनाए  #Free Website(Blog) Kaise Banaye

No comments