जानें क्या हैं डायबिटीज के लक्षण और घरेलू उपचार
diabetes-ka-desi-ilaj |
Diabetes ke lakshan aur gharelu ilaj : Madhumeh yaane diabetes ko “silent killer”kaha jaata hai. Is ko sugar ki bimari bhi kaha jaate hai. Diabetes ka koi cure nahin hai, aap ise sirf niyantran mein rakh sakte hai. Kyonki diabetes ke lakshan koi aise khaas nahin hote hai log inhe ignore karte hai to aage jaake kidney par asar hota hai aur anya rog jaise ki raktchaap aur heart disease ho jaata hai. Is ka asar aankho par bhi hota hai. Isiliye aap ko yeh janna jaroori hai what is diabetes in Hindi aur sugar ke lakshan pechan kar diabetes ka ilaj shuru kar de.
What is diabetes in hindi???
Pehle yeh jaane ki what is diabetes in Hindi. Diabetes yaane madhumeh hamare ayurved mein bhi describe kiya gaya hai yaane ki prachin kaal mein bhi is ke baare mein jaankari thi. Ayurved ne kai jadi booti ko chune hai jo madhumeh mein sharir ke liye upyogi hai. Diabetes alag prakar ke hote hai.
- Type 1 diabetes aisi paristhiti hai jis mein sharir insulin chahiye itni matra mein utpann nahin kar paata hai. Is se sharir mein blood sugar level badh jaata hai aur hyperglycemia kehlaya jaata hai.
- Type 2 diabetes aisi paristhiti hai jis mein sharir ke cells insulin ko theek tarah se process nahin kar paate hai aur sharir mein insulin resistance paida hota hai. Yeh motapa ke karan, umar ke karan aur bina vyayam ki zindagi beetane se hoti hai.
- Ek aur prakar ka diabetes hai jise gestational diabetes kehte hai aur yeh garbhvati mahilao mein paaya jaata hai. Jinhe pehle kabhi diabetes na ho voh bhi garbhvati hone par diabetes ke lakshan pragat karte hai. Bachche ke janam ke baad yeh lakshan mit jaate hai.
Diabetes koi infection se nahin hota hai. Yeh jeevan shaili se sambandhit hai aur genetics par aadharit hai. Diabetes hone par dheeme se lakshan pragat hote hai. To aaiye jaane symptoms of diabetes in Hindi.
Diabetes ke lakshan in Hindi : मधुमेह के लक्षण
Blood mein insulin ka level badh jaaye to hyperglycemia kehta hai aur agar sugar level kam ho jaaye to hypoglycemia kaha jaata hai. Dono diabetes ke prakar hai aur dono se savdhan rehna chahiye. Aise halat mein kai chinha pragat hote hai. Symptoms of diabetes in Hindi janna jaroori hai taaki samaysar diabetes ka ilaj kiya jaa sake.
- Diabetes hone par vyakti bahut hi jaldi thak jaata hai aur din bhar thakaan hi thakaan mehsoos hota hai. Savere uthne par bhi aisa hi lagta hai ki voh bahut thaka hua hai, fresh nahin hai.
- Kai madhumeh ke lakshan mein se ek lakshan hai ki vyakti ko baar baar pishaab aata hai.
- Aankhe kamjor ho jaati hai, dhundhlapan aa jaata hai.
- Pyaas adhik lagti hai. Agar pishab jyaada aaye aur pyaas jyaada lage to samajh le ki yeh sugar ke lakshan hai.
- Agar in diabetes ke lakshan ko nazar andaaz kar diya to aage jaake aur gambhir samasya khadi ho jaati hai.
- Kidneys (gurde) kamjor ho jaate hai aur sharir mein se toxins bahar na jaane ke karan sharir sujh jaata hai. Skin disease ho jaata hai. Gums ki kharabi ho jaati hai. Nerves damage ho jaate hai. Behrapan ho sakta hai. Hypertension ki puri sambhavna hai aur heart disease bhi ho jaata hai.
- Bhookh jyaada lagta hai.
- Ghaav jaldi se mit nahin jaayenge yeh ek diabetes ka lakshan hai.
- Vajan kam hota rehta hai bhale aap kitna bhi achcha bhojan kare.
- Tvacha ke rog lagu pad jaate hai.
- Tabiyat kharab hota rehta hai kyonki immunity kam ho jaata hai.
- Haath aur pair mein jhinjhinahat rehti hai
- Dimagiya santulan kho baithta hai
- Pet mein dard hota rehta hai
- Dhyan kendrit nahin kar paana yeh ek madhumeh ka lakshan hai.
Diabetes ka ilaj
Ab aap jaaniye diabetes ka ilaj kaise hota hai. Kyonki is bimari cure nahin ho sakta hai isiliye is ko control karna jaroori hai. Aap gharelu nuskhe for diabetes try kar sakte hai. Saath mein aap ke jivan shaili aur khurak par niyantran kar ke diabetes ko kabu mein rakh sakte hai.
Pehle to aap ko diabetes ke liye check up karvana hoga. Is ke liye savere khaali pet urine aur blood samples dena hota hai. Phir dophahar ke bhojan ke baad phir se samples dena hota hai. Is se test kiya jaata hai ki khaane ke pehle kitna blood sugar hai aur urine sugar hai aur khaane ke baad kitna. Kabhi kabhi yeh test normal hote hai to GTT test kiya jaata hai jis mein mariz ko 100 gm glucose diya jaata hai aur phir blood test aur urine test hota hai. Agar glucose 126mg/dl hai to diabetes hai. Agar 100 mg/dl se kam hai to diabetes nahin hai aur 100 se 125 mg/dl hai to prediabetic condition hai. GTT test mein 200mg/dl ho to diabetes hai. 140 se kam ho to normal hai. Jinhe type 1 diabetes hai unhe insulin ka injection diya jaata hai aur saath mein aahar par niyantran, vyayam aur jivan shaili sudharna hoga. Type 2 diabetes mein goli se kam chal jaata hai aur saath mein injection ki bhi kabhi kabhi jaroorat rehti hai. Vyaayaam, aahar aur jivan shaili par niyantran rakhna hoga.
- Har roj 2 kilometer chale. Savere walk pe jaaye aur raat ke bhojan ke baad.
- Sugar, refined flour (maida), tale hue cheez, chaval, aur voh fal jinmein sugar jyaada hai (angoor, mangoes) ko tyag kare. Anaj mein gehu ke badle kaang, raagi, jowar aur baajra ka istemal kare.
- Har roj pranayam aur kapalbhati kare.
- Tension mukt jindagi jiye
- Yog ka abhyas kare
- Fresh fruits aur vegetables jyaada khaaye aur anaj kam kar de.
- Thodi matra mein khaaye aur din mein 4-5 baar khaaye
Diabetes ka Gharelu ilaj
Agar aap ko diabetes hai to aap allopathic treatment le sakte hai. Is ke saath aap diabetes ka gharelu ilaj bhi kar sakte hai. Yahan par ayurveda par adharit desi nuskhe for diabetes aap padhenge aur diabetes ka desi ilaj ghar par hi kar sakenge.
- Methi ke daane ko raat ko bhigo de aur savere yeh daane chaba ke khaaye. Blood sugar niyantran mein rakhne ke liye yeh ek achcha diabetes ka gharelu ilaj hai.
- Ek aur diabetes ka desi ilaj hai ki aap har roj amla powder aur haldi powder ka mishran kar ke savere is ka sevan kare. Season mein ho to fresh amla juice peena chahiye. Amla diabetes ka desi ilaj hai.
- Aam ke patte ko sukha de aur is ka churna banake har roj paani ke saath sevan kare.
- Jamun season mein ho tab fresh khaaye aur baad mein is ke beej ka churna ka upyog kare.
- Green tea ka sevan karna diabetes mein labhkari hai. Sweetener ka ya doodh ka upyog na kare.
- Dalchini powder har roj savere aur raat ko lene se diabetes niyantran mein rehta hai.
- Savere aap agar karela ka juice peeyenge to bhi madhumeh niyantran mein rakh paayenge.
- Aahar mein lehsun, adrak aur pyaj ka khub istemal kare.
Diabetes mein savdhani rakhe aur gharelu ilaj bhi karte rahe to aap ko jyaada pareshani nahin hogi.
TAGS :#diabetes ke upay #diabetes ka gharelu ilaj #diabetes symptoms in hindi #diabetes symptoms in men in hindi #diabetes symptoms in hindi language #diabetes symptoms in men over 40 #diabetes ke lachan #diabetes ke lakshan hindi me #pregnancy ke lakshan in hindi language
No comments