Latest post

Malaria ke Lakshan : मलेरिया के लक्षण और घरेलू इलाज

Malaria ke Lakshan
Malaria ke Lakshan 
Malaria ke lakshan aur gharelu ilaj : Malaria ek khatarnak rog hai. Is ko failane mein anopheles jaati ka machchar jimmedar hai. Malaria aise jagah mein asani se failta hai jahan par safai na ho, pani ka sankraman hota hai aur falswaroop machcharo ki sankhya badhti hai. In macharo mein agar malaria ka parjivi (parasite) ho to jab voh vyakti ka khoon peeta hai tab yeh parasite transfer hota hai aur phir us ko malaria ho jaata hai. Agar is rog ka fauran ilaj nahin kiya gaya to yeh kai baar jaan leva sabit ho sakta hai, khaas kar ke bachcho mein. Har saal is rog ke karan 1000 se adhik bachcho ka mrutyu ho jaata hai. To aaiye jaane malaria symptoms in Hindi aur malaria ke upay.

Malaria ke parjivi

Malaria plasmodium parasite ke karan hota hai. Plasmodium ke 5 jaati hai.
  • Plasmodium Knowlesi
  • Plasmodium Ovale
  • Plasmodium Falciparum
  • Plasmodium Malarie
  • Plasmodium Vivax
Plasmodiumfalciparum ghatak sabit ho sakta hai. Vivax, Ovale aur Malarie itne khatarnak nahin hai. Knowlesi se koi khaas asar nahin hota hai manushyo par.

Plasmodium kaise kaam karta hai aur Malaria kya hai??

Ab jaaniye what is malaria in Hindi. Plasmodium ek parasite hai matlab ki voh doosro ke aadhar jeeta hai. Yeh ek single cell parjivi hai. Yeh parjivi machchar ke katne se khoon mein dakhil hota hai aur liver yaane yakrut tak pahunch jaate hai. Yaha par in ke sankhya badh jaati hai aur मलेरिया के लक्षण pragat hote hai.

Malaria ka sankraman

Machar mein anopheles ki jaati jimmedar hai malaria failane mein. Agar koi anopheles mein female machchar ke andar Plasmodium maujood hai aur is machchar ne insaan ko kaata to machchar ke thook mein se yeh sharir mein khool dwara fail jaata hai aur liver mein pahunch jaate hai. Yeh liver mein lal rakt koshika par asar karte hai aur yeh koshika tootne lagte hai. Ab infected vyakti malaria ke lakshan dikhane lagta hai. Agar is vyakti ko kisi aur machchar ne kaat liya to us ke sharir mein bhi yeh parjivi dakhil hote hai khoon mein aur jab voh kisi aur vyakti ko katega to malaria ka failav hoga.
Anopheles machchar sangrahit paani mein failte hai. Baarish ke samay yeh anopheles machchar ka prajanan badh jaata hai kyonki jagah jagah paani jama ho jaata hai. Mausam ke badlav ke kaaran bhi yeh machchar ka prajanan aur failav badh jaata hai.

Malaria ke lakshan kya hai :मलेरिया के लक्षण

Ab jaaniye malaria ke lakshan in hindi. Machchar ke kaatne ke 10 din baad malaria ke lakshan pragat hote hai. Malaria ke lakshan kya hai yeh aage jaane.
  • Pehle to sharir mein susti fail jaati hai aur kamar aur anya jagah mein dard hone lagta hai.
  • Bukhar aata hai aur mariz ko bahut thand lagta hai.
  • Sar mein dard hone lagta hai.
  • Bechaini rehti hai.
  • Kabhi kabhi ulti ho jaata hai.
  • Kabhi kabhi julab bhi ho jaata hai.
  • Bhook gayab ho jaata hai.
  • Khoon ki kami aur lal rakt koshika ki kami.
  • Saans lene mein taklif hota hai.
  • Mariz coma mein bhi chala jaata hai.
  • Platelets kam hote hai aur tvacha par lal chatte pad jaate hai.
To yeh hai malaria symptoms in hindi. Yeh sabhi lakshan pragat nahin hote hai magar bukhar aur thand to lagta hai aur bhukh bhi kam ho jaati hai. Symptoms of malaria in hindi mein padhne ke baad aap jagrut ho jaaye ki agar bechaini, bhuk kam ho jaana, sharir mein dard aur halka bukhar aane lage to turat malaria ke upay ke liye doctor ke paas chale jaaye.

Malaria ka parikshan

Malaria ka ilaj kare us ke pehle to diagnosis se shuru hota hai. Doctor aap ko blood test karvane ko kahega. Rakt ke parikshan mein malaria ke parjivi najar aate hai. Agar yeh parjivi rakt mein na rahne ke badle liver mein rahe to blood test mein pragat nahin hote hai. Ek doosra parikshan hai jise Rapid Test kaha jaata hai. Blood sample se serum alag kar ke us ka test kiya jaata hai. Serum mein Plasmodium ka antigen hota hai jis ke test mein positive aaye to samaj le ki yeh malaria ka confirmation hai. Polymerase Chain reaction ek aur test hai jis mein Plasmodium ka DNA test hota hai. Complete blood count test dwara platelets ka praman ki ginti hoti hai aur agar 1.5 lakh se kam ho to malaria ka lakshan mana jaata hai.

Malaria ka ilaj ya malaria ke upay kya hai yeh jaane.

Plasmodium parjivi par sadharan quinine ka asar kam ho gaya hai kyonki un mein ab resistance aa gaya hai. Isiliye pehle jo dawai use hote the ab voh nishprabhav ho gaye hai. Aaj kal jo dawai upyog hote hai un mein se hai mefloquine, lumefantrine, sulfadoxine aur artemisinin. Quinine ke saath doxycycline ka bhi upyog kiya ja sakta hai. Malaria ke ilaj mein vyakti ko aaraam lena chahiye aur halka khurak diya jaata hai.

Malaria ke gharelu upchar

Kyonki malaria ghatak ho sakta hai us ke liye gharelu upchar bahut kam hai jo samay sar kaam kare. Agar malaria ke lakshan pragat hone lage to neem ke patte ko paani mein ubal kar din mein teen baar mariz ko dene se fayda hoga kyonki neem mein hai adbhut gun jo bacteria, virus aur fungus ko nash kar de. Jahan par quinine aur doosre allopathic dawai aadmi ko kamjor bana dete hai aur liver par asar karte hai, neem majbooti deta hai.
  • Sendha nimak aur chini ko pees ke garam paani mein ghol de aur din mein teen baar peene se bukhar bandh ho jaayega.
  • Jeera, kala jira, sonth ka powder, kala mirch powder aur karanj ke mingi ko peeskar shahad mila ke goli banale aur har 2 ghante mein 2 goli khaaye.
  • Pyaj ka ras bhi malaria ka gharelu upcharo mein se ek uttam upay hai.
  • Baingan ko aag ke upar bhun de aur is ke giri ko gud ke saath khaa le to sharir peela padne se bach jaayega.
  • 1 gram phitkari ko 2 gram chini ke saath mila ke garam paani mein ghol de aur har 2 ghante ek glass pee le.
  • Ajwain aur kalonji ka powder bana de aur shahad ke saath chaate.
  • Bel ke patte ka ras subah aur shaam lene se malaria ka bukhar kam ho jaayega.
  • Peepul ke patte ko pees le, ras ko chaan le aur shahad ke saath mila ke pee le.
  • Lehsun ki kali ko cheelkar ghee ke saath mila ke khaaye.
Sabse achcha upay hai prevention. Aap agar regularly neem ke patte ka sevan karenge ko sharir ka immunity badh jaayega aur yeh parjivi sharir mein fail nahin sakenge. Bachcho ko preventive dosage diya jaaye to unko bhi khatra kam ho jaata hai. Neem ka paani pilaye ya to doctor se goliya dilaye. Garbhvati mahila ko khaas dhyan rakhna chahiye kyonki unko malaria ho jaaye to bachche ko permanent damage ho sakta hai.
Dhyaan rakhe ki agar parjivi agar sharir mein bahut hi fail gaye hai to nuksan kar sakte hai isiliye agar malaria ke lakshan kam na ho to doctor se ilaj karvaye.
Malaria ko failne se kaise roke
  • Anopheles machchar ki sankhya badh jaane se khatra badhta hai. Isiliye machchar ka prajanan na ho us ke liye kahin par pani jama na hone de. Aaju baju ki jagah dry rakhe aur kachra bilkul saaf kar de.
  • Ghar ke windows aur doors par baarik jaali laga de jis se machchar ghar ke andar na aa sake.
  • Apne sharir par mosquito repellent cream lagaye aur mosquito repellent coil ka upyog kare.
  • Ghar mein fumigation karvaye aur jantu nashak dawai ka spray kare. Kone mein aur alag jagah par jahan machar chip jaate hai unhe swach aur open rakhe.


TAGS : #malaria ke lakshan in hindi #malaria ke lakshan hindi me #malaria treatment in hindi #malaria symptoms in hindi #malaria fever in hindi language #malaria ka ilaj in hindi #what is the symptoms of malaria in hindi #malaria ke lakshan kya hai #causes of malaria in hindi

No comments