Dhyan Mudra : ध्यान मुद्रा कैसे करे और उसके लाभ
Dhyan Mudra |
Dhyan mudra benefits in hindi : Dhyan karna jaroori hai kyonki is ke kai fayde hai. Ekagrata badhne ke saath andar ek tarah ka calmness aajata hai jo hamare takat ko badha deti hai. Aadmi samtulit ho jata hai aur focused bhi. Dhyan karne ke liye padmasan apnaya jaata hai aur is samay dhyan mudra apnaye to dhyan karne mein sahyogi hota hai. Siddhasan mein bhi baith ke dhyan kiya jaa sakta hai.
Jaise dhyan karne ke do tarike hai aise hi dhyan mudra ke bhi do tarike hai.
Dhyan Mudra : ध्यान मुद्रा कैसे करे
- Padmasan ya siddhasan apnaye
- Dono hatho ki kohni ghutno par rakhe
- Anguthi ko tarjani ungli ke pratham paur se mila le
- Baaki ungli seedhi rakhe.
- Is mudra ko dhyaan gyaan mudra kehte hai.
Ek aur tarika hai jise amit abha dhyan mudra ya amitabh mudra kehte hair . Agar lambe samay tak dhyan karna hai to yeh uchit hai. Baaye haath ki hatheli par daaye haath ko rakhe aur padmasam mein baith kar dhyan kare.
Dhyan Mudra : ध्यान मुद्रा के लाभ
- Sharir aur dimag mein samtulan paida hota hai
- Urja ka sanchar hota hai
- Sharir ka bhaaripan samapt hota hai
- Memory power badhta hai
- Krodh ka nash hota hai
- Alsipana kam ho jaata hai
- Khushi badhati hai
- Sar mein dard kam hota hai
- Stress kam hota hai
- Depression kam hota hai
- Aum ka uchar karne se aur fayda hai.
TAGS : #Dhyan mudra benefits in hindi # ध्यान मुद्रा कैसे करे और उसके लाभ #hasta mudra benefits in hindi #hasta mudra kaise kare #Dhyan mudra kaise kare #Dhyan mudra ke fayde
No comments