Paypal par account kaise banaye aur verify kaise kare
Paypal par account kaise banaye aur verify kaise kare |
Aap ne online dekha hi hoga ki PayPal se log payment kar sakte hai aur payment paa sakte bhi hai. To yeh PayPal kya cheez hai? Kya aap ka bank account/credit-debit card kaafi nahin hai payment paane ke liye aur payment karne ke liye?
PayPal aise ek service hai jo aap ke aur bank ke beech mein rehta hai aur payment bhejne ke liye aur paane ke liye kaam mein aata hai. Sabse bada fayda yeh hai ki agar koi aap ko payment bhejta hai to use aap ka bank account ki koi jaankari nahin hoti hai. Agar aap kisi ko payment karenge to voh bhi aap ka credit card ya bank account ke baare mein kuch nahin jaan sakta hai. PayPay payment karne ke liye aur paane ke liye ek beech ka agency hai jo bilkul secure aur safe hai. Agar aap foreign company ke liye kaam karna chahe online to paypay account ho to aap ko paypal dwara payment aap ke bank account mein jama hoga. Magar paypay account kaise banaye? Yeh hum aap ko batate hai how to make a paypal account in hindi.
Paypal account ke prakar
How to make paypal account ka process shuru karne se pahle yeh jaane ki paypal ke 3 prakar ke account hai. Ek hai personal, doosra hai premier and teesra hai business. Personal account mein aap payment paa sakte hai aur bhej sakte hai magar online vyapar ke liye suvidhi seemit hai. Premier account mein yeh sabhi suvidha to hai aur aap Ebay par bhi merchant account khol ke payment PayPal dwara paa sakte hai. Credit aur debit card ki bhi suvidha premier account mein dee gayi hai. Business account mein premier account jitne fayde hai aur oopar se yeh multi user access allow karta hai. Aap chahe to ek personal account aur ek premier ya business account alag se maintain kar sakte hai. Account kholne ke liye aap ko koi payment nahin dena hai.
Agar aap ko koi payment paypal dwara bhejta hai to paypal khud ka service charge aap ke payment se deduct kar ke baad mein aap ke bank account ko transfer karega. Agar aap ne paypal dwara kisi ko payment kiya to bhi PayPay ke service charges aap ko pay karna hoga. Aise to duniya mein khareedi karne ke liye aur payment bhej ne ke liye log PayPal ka upyog karte hai magar aap ko foreign paise bhejna hai ya foreign se koi cheez kharidna ho to India se yah kaam shayad mushkil hai kyon ki Reserve Bank of India ke niyam laagu hote hai.
Paypal account ke liye jaroori
Ab aap jaaniye how to make paypal account. Is se pehle yeh aap taiyar rakhe:
- Bank account hona jaroori hai
- PAN Card hona jaroori hai
- Email address hona jaroori hai
- Address aur phone number taiyar rakhe.
Paypal par account set up kare is prakar
- Aap ke computer mein browser launch kare.
- Address bar mein http://www.Paypal.com type kare.
- Paypal.com ka site khulega
- Is mein aap “Signup” button par click kare.
Form fill kare
Ab ek form khulega
- Is form ko bhar de aur aap ne jo password likha hai us ko upper ya lower character, jis mein bhi likha hai vaise hi aap apne diary mein note kare.
- Kaunse details daalen hai?
- Sabhi details jo form mein dikhaya hai aap ko submit karna hai jaise ki naam, address, mobile number,ATM Card, email ID aur password. Password yaha par aap ka email id ka password nahin hona chahiye. Koi alag hi password chune.
- Ab aap “agree and create account” par click kare.
Security challenge
Ab ek page khulega jis mein hoga security challenge.
- Jo image mein security code dikhta hai usi code ko aap ko khaali jagah mein type karna hoga.
- Ab aap Continue button pe click kare.
Ab aap ka PayPal Account set up gaya hai. Welcome page khulega.
- Is mein ek button hai “Confirm email”. Is par click kare.
- Ab ek aur page khulega
- Is mein aap ko Paypal ke liye jo password select kiya hai use enter karna hoga.
- Ab log in button e click kare.
Security question
Aage aur bhi vidhi hai. Ek aur page khulega jis mei aur details dena hai.
- Yahan par aap ko security question poochenge jis ko aap apne diary mein note kare. Kabhi bhi password kho jaaye to recover karne ke liye yeh kaam mein aayega.
- 2 security questions hai. Un ke jawab likhe aur submit button par click kare.
Welcome page
- Submit click karne par ek aur page khulega. Is mein aap ko aap ke account ke details dikhai denge.
- Yaha par aap apne details update kar sakte hai.
Account verification
Ab aap apne email mein log in kare. Paypal ne aap ko verification email bheja hoga. Ise open kare and yaha par jo link hai us par click kare. Jaroor hai ki aap kare verify paypal account. Is ke bina aage koi vidhi jahin hoga. Agar aap ne log in bhi kiya to page par message hoga ki aap apna account verify kare isiliye yeh janna jaroor hai How to verify paypal account.
Task board
Is page mein aap apna PAN card ke details submit kare “Start” button click kare.
- Is ke neeche hai Bank Account add karne ke liye “start” button.
- Is ke neeche “Provide purpose code” hai jo important hai isiliye dhyan se padhe aur kis kaam ke liye aap paypal account khole rahe hai voh chune.
- Yeh sabhi details dena jaroori hai. Is ke bina Paypay account active nahin hoga aur aap payment aap ke bank account mein nahin receive kar sakenge isiliye yeh steps jaroor complete kare.
Ab aap ka Paypal account set up ho gaya hai. Koi bhi aap ko kahin se bhi paisa bhejega to aap paypal par login kar ke dekh sakte hai ki aap ke account mein paisa aaya hai. Paypal immediately paisa aap ke bank account mein transfer karega aur us mein us unke charges deduct kar lenge.
TAGS : #paypal par account kaise banaye #how to make paypal account in hindi #how to make a paypal account in hindi #how to verify paypal account in hindi
No comments