Paytm क्या है?? Paytm details in hindi kaise account banaye aur upyog kaise kare
Paytm क्या है? |
PayTM details in hindi : Jab se demonetization ho gaya tab se rokad ki kami sabhi ko mehsoos hoti hai, khaas kar ke aam aadmi ko. Ek baaju sabji wale aur dukan wale ko rokad chukana padta hai aur doosri baaju ATM me rokad hota nahin hai aur bank me lambi line lagi hoti hai. Aise me Paytm aam admi ko aur dukandaro ke liye batua ban gaya hai. Paytm hai kya? Kaise is ka upyog kare? Aage padhiye, jaaniye aur apnaye is suvidha ko.
Paytm kya hai???
Paytm aise to ek online ecommerce site hai aur saath me ek payment provider hai ecommerce vyapari ke liye. Pehle yeh company ne ecommerce vyapari ko payment paane ki suvidha shuru kee jo websites dwara, mobile web aur mobie app aur SMS dwara paaya jaa sakta hai. Fir unhone 2015 me cashless payment suvidha QR code dwara shuru kiya aur unka digital wallet suvidha shuru kiya. Vyapari online payment paa sakta hai paytm dwara aur paytm dwara koi bhi grahak kisi bhi vyapari ko payment kar sakta hai surakshit tarike se. Vyapari ko us ke digital wallet yane digital batua me paisa jama hota hai jo voh bank account me transfer kar sakta hai. Grahak us ke digital wallet me se koi bhi cheez ki kharidi ka payment kar sakta hai vyapari ke khaate me. Aaj ke rokad ki takleef me Paytm ki suvidha apnaye aur kahin par bhi aasaani se payment chukaye. Padhte rahiye aage ki kaise kare.
Paytm ke liye kya chahiye
Paytm ka digital wallet use karne ke liye nimn likhit chahiye:
- Smartphone jis me internet suvidha ho
- Bank account aur net banking/debit/credit card suvidha
Agla kadam
- Ab aap jaaye www.paytm.com ke website par.
- Yahan se paytm app download kare aur install kare
- App launch kare
- Register kare jis me aap ko aap ke details bharne hai screen par form dikhai deta hai us me. Khaas kar ke aap ko apna mobile number bhi dena hai, vohi mobile number jo aap ke smartphone ka hai jahan par se aap paytm wallet suvidha ka upyog karenge.
Yaad rakhna hai ki desktop computer par se paytm website par jaaye to register karna hoga aur mobile par se kare to mobile number ya email id daalna hai aur ek password dena hai. Is ke baad continue button par tap kare.
- Paytm ab aap ko aap ke mobile number par code bhejega. Yeh verification code code confirmation ki khaali jagah me daale.
- Ab aap apne profile banaye aur email id bhi bhar de.
- Ab aap ka Paytm khaata taiyar ho gaya.
Paytm ke wallet me paise kaise bhare
Paytm ke wallet me paise bharne ke liye aap ko net banking, credit card ya debit card ki suvidha hona chahiye.
- Paytm app launch kare
- “Add Money” button par tap kare. Yeh icon paytm homepage par hai.
- Khaali jagah me jitni rakam chahe utni aap ke wallet me bharne ke liye likhe.
- Agar aap ko koi promo code mila hai SMS dwara aap ke mobile par to yeh promo code ya voucher code jagah me bhar de.
- Agar promo code nahin hai to “Proceed to pay Rs…..” par tap kare ya click kare.
- Debit/credit card ya net banking dwara payment ka process complete kare. Is me aap ka debit ya credit card number, CVV number daalna hai aur aap ko one time password mobile sms me mile voh bharna hoga.
- Aap ke Paytm wallet me utni rakam ab jama hai.
Desktop ya laptop computer se paytm website access kare to pehle aap ko login karna hai aur fir paytm wallet par click kare aur baad me aage ki karyavahi kare.
Paytm kahan par upyog ho sakta hai?
Paytm ke digital wallet me aap ka paisa jama hai. Yeh kahan par aap upyog kar sakte hai?
- DTH, telephone bill aur mobile recharge ke liye
- Koi bill jaise electricity aur gas bill payment ke liye
- Kisi bhi dukan me ya mall me payment kare
- Kisi aur vyakti ko payment karna hai ya paise udhar dena hai.
Paytm Wallet me se bank khaate me payment kaise kare?
Kisi ko payment karna hai to us ka naam aur bank details hona jaroori hai. Payment is prakar kare:
- Aap ke mobile me paytm app chalu kare ya computer par paytm website par jaaye.
- Side me bank ya passbook likha hoga ya icon hoga. Us par click kare ya tap kare.
- Ab “send money to bank” par tap ya click kare
- Ab aap “transfer” par tap ya click kare.
- Form dikhai dega screen par jis me aap ko bharna hai bank account number, khatedar ka naam, IFSC code, aur rakam.
- Ab send par click kare ya tap kare aur thode seconds me aap ko confirmation message milega ki transfer successful ho gaya hai.
Is tarah payment karne ke liye paytm wallet me kam se kam Rs 104 hona jaroori hai aur aap ke is transaction par paytm 4% charge lagayega. Rs 100 send kiya to Rs 4 aur paytm lega.
Isi tarah agar mobile recharge karna hai to mobile recharge button par tap kare aur aage ki karyavahi kare. DTH ke liye DTH, aadi, aadi.
Ek paytm wallet se doosri paytm wallet ko kaise paise bheje
Mobile me app launch kare.
- Ab Mobile number par tap kare ya click kare.
- Jis ko paise bhejna chahe us ka mobile number khaali jagah me bhar de.
- Ab rakam ke jagah par rakam bhare aur kis cheez ke liye paise bhejte hai us ke baare me kuch likhe.
- Ab “send” par tap kare ya click kare aur pay kare.
Maryadit samay ke liye ek paytm wallet se doosre paytm wallet ko paise transfer kiye to koi charge nahin hai.
31 December 2016 tak bank me paise transfer kare to koi charges lagu nahin hai aur baad me KYC documents submit kiya hai un ko 1% aur jo non-KYC hai un ko 4% charge lagega.
Agar aap jis ko payment karna chahte hai us ke paas paytm wallet hai to aasaan hai. Nahin hai aur bank account hai to bhi aap us ke bank ke khaate me paisa jama kar sakte hai. Mobile recharge ke liye ghar baithe hee aap koi bhi mobile operator ko direct recharge ke paise bhar sakte hai. Is me fayda yeh hai ki promo code milta hai jis se har Rs 100 ke recharge par Rs 25 ka cashback ka offer hai aur voh 3 baar recharge tak valid hai. Is ke alava aise cashback offers aur bhi hai naye grahako ke liye.
TAGS : #paytm se paise kaise kamaye #paytm hindi meaning #paytm kaise use kare #paytm offers in hindi #paytm details in hindi #how to create paytm account in hindi #hindi paytm #how to use paytm wallet in hindi #paytm par account kaise banaye
No comments