Latest post

What is Affiliate Marketing Programs : Affiliate Marketing Kaise Chalta Hai???

What is Affiliate Marketing Programs : Affiliate Marketing Kaise Chalta Hai???
What is Affiliate Marketing Programs 
Website dwara paise kamane ke kai raaste hai. Ek to yeh hai ki aap apna product beche. Doosre raaste mein hai ki aap ke website par aap adsense ke ad display kare aur click dwara paise kamaye. Teesra rasta hai ki aap affiliate marketing mein jud jaaye. To aaiye jaane affiliate marketing in hindi aur is ko aap kaise paise kamane ka raasta bana sakte hai. 

What is Affiliate marketing : Affiliate marketing kya hai??? 

Pehle yeh jaane ki affiliate marketing kya hai. Affiliate yane ki kisi ke saath business mein relationship banana. Website ki duniya mein agar aap kisi aur business ke saath jud jaate hai aur unke business ko promote karne ke liye apne website par un ke ads rakhe to is ko affiliate marketing kaha jaata hai. Adsense mein click par paise milte hai. Affiliate marketing mein aap ko tabhi paise milega jab koi ad par click kar ke aage jaake product kharidta hai. Yeh commission base hota hai sale par, click par nahin. Magar adsense se jyaada paise milne ki sambhavna hai. 

Affiliate Marketting kaise chalta hai

Affiliate marketing ki jaroorat badhti jaa rahi hai. Is ka karan hai ki online selling badhti jaa rahi hai aur online stores mein competition bahut hi tej hai. Un ko chahiye ki jyaada se jyaada log un ke site aur unke product ke baare mein jaane. Isiliye voh ya to direct doosre log ke saath judte hai jinke website hote hai ya to affiliate agencies ke madhyam dwara aise logo tak pahunchte hai. Jab aap aise program mein register honge to yeh online stores ya affiliate marketing companies aap ko code denge jo aap ko apke web page ke html mein shaamil karna hai. Page upload kare. Ab yeh affiliate banner ad dikhai dega. Aap ke site par visitors ne is banner par click kiya to voh ad ke site par jaate hai aur agar vahan par koi product kharida to aap ke account mein paisa jama hota hai. 
India mein kaise kare aur kahan kare affiliate link up
Affiliate ads mein aisa hota hai ki koi ek company ka affiliate ad aap ke web page par aap laga sakte hai. Us ka product range limited hoga to seedhi si baat hai ki kharidar bhi seemit honge. Behter yeh hai ki aap aise jaane maane online stores se affiliate program mein jud jaaye ki visitors click kare aur vahan se kuch na kuch kharidi kare. To aise online stores jo affiliate program offer karte hai voh hai: 
  • Snapdeal : Snapdeal ek popular online store hai. Aap un ke saath jud jaaye affiliate program mein. 
  • Flipkart : Shayad flipkart.com India ka top online store hai. Flipkart affiliate program offer karta hai jo aap ke liye faydemand hai. Kyonki Flipkart bahut hi lokpriya hai to aap ke site par ad hone par koi na koi to click karega hi aur kharida bhi karega. 
  • Amazon.in : Yeh bhi ek jaana maana shopping site hai jo hazaro products bechta hai. In ke affiliate program jaroor aap ko labhkari saabit hoga. 
  • Hostgator : Hostgator web hosting mein jaana maana naam hai. Kyonki is ka product portfolio limited hai to chances kam hai. 
Affiliate network
Affiliate marketing mein aise company hai jo ek taraf product banane aur bechne waalo ke sampark mein hai aur doosri taraf jin ke paas website hai aur jo affiliate marketing mein judna chahte hai unke saath sampark hai. Agent ka kaam karte hai. Aise companies hai: 
  • Rakuten Linkshare ek popular affiliate marketing company hai. Aap linkshare.com par jaake aage vidhi kare. 
  • CJ.com bhi ek leading affiliate marketing company hai aur aap ke liye recommended hai. 
  • Avangate.com mein bhi aap register kar sakte hai. 
  • Ebaypartnernetwork.com ek aur jabardast affiliate marketing network hai. 
  • Clickbank.com ek bahut badi affiliate marketing network aur publisher hai. Jaroor sampark kare. 
Aise hi aap effiliatez.com, affiliatenetwork.com, admedia.com, tradedoubler.com, aur linkconnector.com ke saat affiliate program mein jud sakte hai. 

Affiliate marketing kaise kare

  • Agar aap mehnat kar sakte hai aur time hai aap ke paas to aap alag alag blog site par apna free blog register kare. 
  • Aap isi tarah Facebook aur YouTube par bhi aap ka account banaye. 
  • Inhi blog sites par alag alag vishay par alag se blogs register kare. Ab aap ke paas kai aise free blogsites ho gaye hai. 
  • Ab aap upar bataye gaye affiliate marketing networks mein jud jaaye. Email dwara register kare. Us ke baad voh company aap se jaankari legi. 
  • Profile complete ho jaaye to aap ke website ka profile banaye. 
  • Ab aap ka registration ho gaya hai. 
  • Account mein log in kare. 
  • Dashboard khulne par aap mein mein jaa ke koi bhi product ka link tgenerate kare. 
  • Is link ko aap ke blog mein paste kare. Yeh text based ad ho sakta hai ya to banner bhi ho sakta hai. 
NOTE: 
  • Ek page par ek ya do hi affiliate ad lagaye. 
  • Affiliate ad ke saath Google adsense ka bhi ek ad aap laga sakte hai. Jyaada ad hone se negative ranking mil sakta hai. 
  • Alag alag blog par alag alag affiliate company ke ad rakhe. Har ek ka tracking kare aur dekhe ki kis vishay ke blog par kitne visitors hai aur kitne conversions hai. Aisa karne se aap un pe jyaada dhyan de sakenge jis se fayda jyaada hota hai aur jo kaam nahi karte hai use sudhar sakte hai. 

Kahan par affiliate ads laga sakte hai

  • Agar aap ne khud ka domain register kar ke web hosting kiya hai to yahan par ad lagaye.
  • Blogger.com aur doosre blogging site par blogs banake in mein affiliate ads lagaye.
  • Facebook par account khole aur aap ke page par link display kare. 
  • YouTube mein aap thodisi mehnat kar ke affiliate ad lagaya aur usi product ka video review bhi rakhe to dono link up honge to visitors impress ho jaayenge. 
Glossary
  • Kai aise shabd hai jo is sambandh mein upyog karte hai jis ke arth aap ko maloom hona chahiye: 
  • Affiliate manager: Affiliate publishers ek insan ko niyukt karte hai jo voh business sambhalta hai aur jo aap ko guidance dega. 
  • Affiliate link: Affiliate marketing company jo code aur link deti hai voh aap ko aap ke page par rakhna hai. Yeh link khaas prakar ki hai ki visitors ko website par le jaati hai aur yeh bhi track karti hai ki kahan se yeh visitors aaye. Is se aap ke site par se jaane vaale visitors ka record banega. 
  • Affiliate ID voh ID hai jo affiliate marketing company aap ko provide karti hai aur payment aur anya karyo ke liye aap ko upyog karna hai. 
  • Link clocking ka matlab hai ki lambe link ko short banana. 
  • Commission: Link par click karne ke baad koi visitor ne koi product kharida to us par aap ko commission milta hai jo aap ke khaate mein jama hota hai.
  • Payment mode ka matlab hai ki kis tarah se aap ko payment transfer kiya jaata hai—paypal dwara, online bank transfer, etc.
  • Payment threshold ka matlab hai ki commission ki rakam tab tak aap ke khaate mein hogi jab tak vo ek sunischit rakam tak nahin pahunchti hai. Aise hone par payment automatically aap ke khaate se aap ke bank account mein transfer hota hai. 
Yaad rahe ki sirf affiliate marketing program mein jud jaane se paise ki varsha nahin hoti hai. Aap ko aap ke jitne bhi blog ya website hai us ko actively promote karna hai taaki visitors ki sankhya badhe aur voh click karke kharidi karne par prerit ho.
TAGS : #affiliate marketing companies #affiliate marketing jobs #affiliate marketing examples #affiliate marketing programs #affiliate marketing websites #affiliate marketing meaning #affiliate marketing tips #affiliate marketing for dummies

No comments